sheR - O - shaYaRI
Yahi hai zindagi apni ,
yahi hai bandagi apni,
Ke unka naam aaya aur,
Gardan jhuk gayi apni ,
Tum kaho na kaho.. ,
Tumhare sar pe ye ilzam to hai,
tumahare hathon ki lakiron me,
mera naam to hai..,
Bhoole Hai Rafta Rafta Tumko Muddaton Me Hum..
Kishton Me KhudKushi Ka Maza Humse Puchiye..
Ishq ne nikamma Kar diya Galib
Warna aadmi ham bhi bahut kam k the ..
humko maloom hai jannat ki haqeekat lekin,
Dil ko khush rakhne ka galib yeh khyaal accha hai......
Ujaale apni yaadon ke humaare saath hi rahne do,
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
tum ne chaha hi nahi , haalat badal sakte the...
tere aansoo meri aankhoon se nikal sakte the..
tum to thahre rahe jheel k pani ki terhen..
Dariya bante to bohot door nikal sakte the...
kabhi yun bhi aa meri aankhon mein
k meri nazar ko khabar na ho ,,
tuje bhulne ki dua karun,,
to dua me meri asar na ho
mila wo bhi nahi karte , mila hum bhi nahi karte
wafa wo bhi nahi karte , wafa hum bhi nahi karte...
unhe ruswai ka dukh , hume tanhai ka darr,
gila wo bhi nahi karte,shikwa hum bhi nahi karte..
kisi mor par takrao ho jata hai aksar,
ruka wo bhi nahi karte , thehra hum bhi nahi karte..
Waqt se waqt ki kya shikayat karen,
Waqt hi na raha waqt ki baat hai.
Usne dekha mujhe, usne chaha mujhe,
Usne thukra diya , waqt ki baat hai.
Unke dekhe se jo aa jati hei, muh par ronaq
Woh samajhte hain, k beemar ka haal acha hai
aankhon me raha dil me utar kar na dekha,
kashti ke musafir ne samandar na dekha,
patthar mujhe kehta hai mera chahne wala,
main mom hoon usne mujhe chukar na dekha.
Dil jeet lein , wo nazar hum bhi rakhte hain .... ,
Bheed mein bhi aayein nazar , wo asar hum bhi rakhte hain
Yun to waada kiya hai kisi se hur dum muskurane ka ...,
Warna in aankhon mein samandar hum bhi rakhte hain ...
Raghon mein daurte phirne ke ham nahin kaayal
Jo aankh hi se na tapke to phir lahoo kya hai
tere gham ki dalli utha kar zuban par rakhli hai dekho maine........
ye katra katra jal rahi hai main katra katra jee raha hoon.........
karoo na yaad magar , kis tarah bhulaoon use
ghazal ka bahana karoon , aur gungunaoo use
Jab ek phool ko uda le gayi hawa,
Us Din Bahar ko Mere Ghar ka pata chala,
Jab Utha Le Chale Humein Chaar Log,
Us din mere Yaar ko mere Pyaar ka pata CHala,
Ulti chal Chalte hain Ishq Karne Wale
Aankhein band Karte hain Dedaar K Liye
jo pahuch chuke hain manzil par...
unko to nahi hai naaz-e-safar...
do kadam abhi jo chale nahi...
raftaar ki baatein karte hain..
MASJID ME AJAAN BHI KAR LETA HOON ,
MANDIR ME PAATH BHI KAR LETA HOON ,
KAHI INSAAN SE KHUDA NA BAN JAOON ,
IS LIYE THODE PAAP BHI KAR LETA HOON ...
Meri tabaahi ka ilzaam ab sharaab par hai,
karta bhi kya aur, tum par jo aa rahi thi baat.
Hatho ki lakiron per mat kismat ka gumaan karna
kismat to unki bhi hoti hai jin k haath nahi hote
Dard is dil ke kisi ko batane se kya fayda
Zakhmo se apne Rubru karane se kya Fayda
Ashq apne hai inhe samet lo daaman me
Kisi Bedard pe yu hi lutane se kya fayda........
Imtihaan ho gayi apne pyar ki gehraai ki
Aadat si ho chuki hai ab to tumse judaai ki
Dhokha dena fitrat to nahi thi uski
Koi wajah zarur rahi hogi uski bewafai ki...
kisi na kisi pe kisi ko Aitbaar ho jata hai,
ajnabi koi shakhs bhi yaar ho jata hai,
khubiyon se hi nai hoti mohabbat sada,
khamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai....
Yeh dil tum se pyar karna chahta hai
Apni mohabbat ka iqrar karna chahta hai
Jab se dekha hai tum ko ae sanam
Bas tumhara hi dedaar karna chahta hai
hum hain ik ujrrey sheher ki mishal Agar
aankheen bata rahi hain k tum bhi veeraan ho
Tumhare haath ko tham kar tumhare saath chalna chahte hai
Badi lambi der tak tumse baatein karna chahte hai
Tumhari muhabbat ko dil se mehsus karna chahte hai
Ab kya kahe tumse ke hum jald tumse milna chahte hai
Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye
Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye
Wo Mujh se phir mila hai Aaj Khawabon mai
Ae Khudaya kahin Meri Neend khul na jaye
Pucha na ker sab ke Samne Meri Kahani
Kabhi Tera Naam Hoton se nikal na jaye
Ji-Bhar ke dekh lo Hum ko Tum Sanam
Kya pata phir Zindagi ki Shaam dhal na jaaye
Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye
Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye
Akele To Hum Pehle Bhi Jee Rahe The,
Kyu Tanha-Se Ho Gaye Hai Tere Jane Ke Baad....
Her lafz kitaabon main tera aks liye hai
Ek chand saa chehra hai jo parhne nahein daita....
Palbhar mein tut jaye who kassam nahi,
Dosti mein bhool jaye woh hum nahi,
Tum bewafa bano is baat mein dum nahi,
Kyuki hamari wafa bhi kuch kum nahi
Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon.
Dil ke Aangan mein teri yaadon ka ghar banaye baithe hain,
Toote huye dil mein teri tasveer banaye baithe hain,
Log kehte hain mar k koi nahi jeeta,
Hum toh mar ke bhi jeene ki aas lagaye baithe hain..
Mera ikraar tere inkaar se behatar hoga
Mera din bhi teri raat se behtar hoga
Inhi Aankhon se dekh lena zaalim
Mera janazaa teri baaraat se behatar hoga�
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Yeh to ek nayaab sangraha hai gazalon ka.. aur shero ka... aapko saadhuwaad!
ReplyDelete